Friday, December 15, 2006

About that simple Girl

I remember those days when i was going for my tution classes and met a girl. She was so simple that her simplicity cannot be explained in words. I always wanted to express myself to her but i guess i was not having those iron balls. Well i'm going to write it is some kinda Poem. I know i realy suck in this but its just a try.

yaad hai woh din jab main naalayak hua karta tha,
8th class mein bhi tutions jaaya karta tha.

badi mushkil se kari pass woh class ro ro ke,
Sochta tha kaise banaunga apna naam bade hoke.

yahi sochne mein khoya tha ek din tution mein,
ki tabhi mam boli yeh hai ek nayi student hamare group mein.

dekhne mein thi woh seedhi si ya Doosre shabdo mein "SIMPLE",
yaad nahi ab par shayad jab woh hasti to gaalo mein padta tha DIMPLE.

kuchh to tha usmein aisa jo aaj tak nahi aaya mujhe samajh,
yahi soch raha tha us din chhod padhayi, mein nasamajh.

din beet-te jaa rahe the, usse baat nahi kar paa raha tha mein pagla,
Par haan padhayi mein bhi maza aa raha tha,
kyoki ab hum dono mein competition ho raha tha Tagda.

Din beete, beeta saal mere man mein ab bhi uth raha tha ek sawaal,
Kya tha usmein jo tha itna saada,
Shayad is sawaal ka jawaab na tha seedha saadha.

Uski Dosti ko meine kuchh aur hi samajh liya,
aaj sochta hoon to hairaan hota hoon ki meine aisa kaise Samajh liya.

AAJ ho gaye, ho gaye hai is baat ko poore 9 saal,
keh na paaya mein nalayak aaj tak usse apne dil ki baat.
Par man mein aaj bhi hai wohi sawaal ki "aisi kya thi usmein baat?".


Galtiyon ke liye maafi

2 comments:

Anonymous said...

Hi Arun

Really nice poem.
Poetry kab shuru ki tune???
aur yeh ladki toh wahi hai na??

Anonymous said...

arey yaar to tumne mujhe tab kyun nhi bataya..